NIBU( LEMON) DEY ZABERDAST BEAUTY.

NIBU :— Nibu ka sewan har mosam me kar sakte hai  . ye mosam ke sath apne gudon ko adjust karke mosam ke nuqsan se bachata hai  .  iska khas kaam badan  ke vish ko marker bahar nikalna hai.

NIBU SE BEAUTY :—- Nibu ka sewan insan ke badan ko khoobsorat banata hai .

1. haldi per nibu nichod ker pees ley aur face per laga ker aik ghante bad dho ley face ke kale daq aur jhaeya khatam ho jaenge .

2. nichoda hua nibu ke phank ko lips per ragde ( lagaye ) lips ka kala pan khatam ho jaega .

3. nahate time nibu ko badan per lagane se skin ka rang saaf ho jata hai .

4. rat ko sone se pehle nibu ko face per laga ker sojaye aur subha uth ker face ko dho ley face key dare dhabbe saaf ho jaenge

5. agar pair ke adiya phate ho aur kharab ho rahe ho tou used nebu ko adiyo per ragde kuch din bad adiya sahe ho jaenge .

6. nibu ke ras ke 5 bunde aik chammach malaye me mila ker face per lagane se face ka rang saaf aur chamakdar ho jata hai.

7. pani me aik nibu ka ras dalker sar ke bal dhoye bal chamkeley aur mulayam ho jaenge .

8. nahane ke pani me aik nibu ka ras nchd ker nahaye skin taza aur chamadar hojaege .

9. harey mater ke dano per nibu nichod ker thoda pani dalker pees ley aur ise chehre aur hatho per mal ker thode deir me dho ley jaha bhe lagae bohot khoobsorat ho jaega .

10. rozana gun- gune pani me 1/2 nibu ka ras aur thoda sa shahad mila ker peney se chehre aur badan ke skin me nikhar aata hai aur ankhon me chamak aate hai .

11. agar skin oily hai tou din me kae bar nibu ka pani piye skin ka oily pan khatam ho jaega .

12. muhason se chutkara pane ke lea nibu ka ras , gajar ka ras aur thode se shaker milaker pena chahea bohot jalde fayda hota hai .

doston apko ye lekh achcha laga tou ise share kare like kare aur comments karke zaroor bataye

ANGOOR KE ZABERDAST FAYDE

ANGOOR ( GRAPES) :— Angoor aik bohot he mulayam phal hota hai . ye muh me dalte he ghul jata hai ye asani se pach jata hai . angoor porey world me asane se mil jata hai . ye Asia , Algeria , Australia , America , Africa , Afghanistan , Pakistan Aur India sb jaga miljata hai aur yaha iske bazar bohot achcha hai .

ANGOOR MEY POSHAK TATVA :—- angoor me kae tarah ke poshak tatva hote hai . isme potassium , sodium , calcium , magnesium , iron , chlorine , phosphorus , aur glucose paya jata hai . angoor se banaya gaya glucose bohot achcha hota hai. aur ziyadater dr mareez ko angoor se bana glucose dena pasand karte hai .

ANGOOR KE FAYDE : —- angoor ka sewan bohot faydemand hota hai . paka hua angoor me bohot gud hote hai ye mareez ke lea bohot faydemand hota hai . kachcha angoor ka sewan kabz ko todta hai aur pait ke bhari pan ko dour karta hai . angoor badan ko mazboot banata hai . ye gale ko achcha karta hai aur voice ko achcha karta hai . ye badan me moni ke matra ko badata hai . angoor ke sabse khas bat ye pach pachya khana hai isey pachana bohot asan hai . angoor khane ke foran bad badan ko chusti , energy , aur taqat milte hai . bachcho ke dant nikalne me pareshani ho tou angoor ke ras ko rozana pilana chahea dant asani se nikalte hai . angoor ke baraber sewan karne se ladies ke masik- dharm sahe bana rehta hai . kise ke Dil me dard ho ghabrahat ho , tou angoor ka rozana sewan karne se aaram milta hai . ye ankho ke lea bohot faydemand hota hai . mirge ke rogi ko angoor ka ras pilana chahea bohot jald aaram hota hai .