ANGOOR ( GRAPES) :— Angoor aik bohot he mulayam phal hota hai . ye muh me dalte he ghul jata hai ye asani se pach jata hai . angoor porey world me asane se mil jata hai . ye Asia , Algeria , Australia , America , Africa , Afghanistan , Pakistan Aur India sb jaga miljata hai aur yaha iske bazar bohot achcha hai .

ANGOOR MEY POSHAK TATVA :—- angoor me kae tarah ke poshak tatva hote hai . isme potassium , sodium , calcium , magnesium , iron , chlorine , phosphorus , aur glucose paya jata hai . angoor se banaya gaya glucose bohot achcha hota hai. aur ziyadater dr mareez ko angoor se bana glucose dena pasand karte hai .
ANGOOR KE FAYDE : —- angoor ka sewan bohot faydemand hota hai . paka hua angoor me bohot gud hote hai ye mareez ke lea bohot faydemand hota hai . kachcha angoor ka sewan kabz ko todta hai aur pait ke bhari pan ko dour karta hai . angoor badan ko mazboot banata hai . ye gale ko achcha karta hai aur voice ko achcha karta hai . ye badan me moni ke matra ko badata hai . angoor ke sabse khas bat ye pach pachya khana hai isey pachana bohot asan hai . angoor khane ke foran bad badan ko chusti , energy , aur taqat milte hai . bachcho ke dant nikalne me pareshani ho tou angoor ke ras ko rozana pilana chahea dant asani se nikalte hai . angoor ke baraber sewan karne se ladies ke masik- dharm sahe bana rehta hai . kise ke Dil me dard ho ghabrahat ho , tou angoor ka rozana sewan karne se aaram milta hai . ye ankho ke lea bohot faydemand hota hai . mirge ke rogi ko angoor ka ras pilana chahea bohot jald aaram hota hai .